Singers : Lata Mangeshkar and Kishore Kumar
Music by : Shiv-Hari
Lyrics by : Hasan Kamaal
Chorus : Sar se sarke
Sarke chunariya
Laaj bhari akhiyon mein
Chorus : Sar se sarke
Sarke chunariya
Laaj bhari akhiyon mein
Chorus : O maiyya gaaye sagan
Behna hoke magan
Naache sakhiyon mein
Chorus : Sar se sarke
Sarke chunariya
Laaj bhari akhiyon mein
Chorus : Ho maiyya gaaye sagan
Behna hoke magan
Naache sakhiyon mein
Female : Nainon mein nindiya
Nindiya mein sapne
Sapno mein sajan jab se basa
Baharein aayi jeevan mein
Nayi halchal hai tann mann mein
Ik roop basa hai ankhiyon mein ho
Chorus : Sar se sarke
Sarke chunariya
Laaj bhari akhiyon mein
Male : Kuch lamhein jeevan ke chura le
Saanson ki yeh aag bujha de
Duniya se door nayi duniya basa de
Female : Jab se mili hai tujhse nigahein
Jadoo yeh kaisa mujhpe hua
Ke dil jab tanha lagta hai
Mujhe kuch aisa lagta hai
Tu jhankh raha hai ankhiyon mein ho
Chorus : Sar se sarke
Sarke chunariya
Laaj bhari akhiyon mein
Male : Aaj ka har ik pal sundar hai
Kal kya ho kisko yeh khabar hai
Lamba safar zindagi muqtasar hai
Female : Dar lag raha hai kya jaane kya ho
Dil tujhko maine jab se diya
Uddi hain neendein ankhon se
Teri aisi hi baaton se
Badnam hui hoon sakhiyon mein ho
Chorus : Sar se sarke
Sarke chunariya
Laaj bhari akhiyon mein
Chorus : O maiyya gaaye sagan
Behna hoke magan
Naache sakhiyon mein
Female : Nainon mein nindiya
Nindiya mein sapne
Sapno mein sajan jab se basa
Baharein aayi jeevan mein
Nayi halchal hai tann mann mein
Ik roop basa hai ankhiyon mein ho
Chorus : Sar se sarke
Sarke chunariya
Laaj bhari akhiyon mein
Male : Taaron se yeh maang saja doon
Hothon pe ik phool khila doon
Tere liye saari duniya bhula doon
Female : Mehkega sara gulshan hamara
Dil ka sahara baahein teri
Khushi se hari bhari hogi
Yeh duniya teri meri hogi
Ik phool khilega bagiyon mein ho
Chorus : Sar se sarke
Sarke chunariya
Laaj bhari akhiyon mein
Chorus : O maiyya gaaye sagan
Behna hoke magan
Naache sakhiyon mein
Chorus : Sar se sarke
Sarke chunariya
Laaj bhari akhiyon mein
Chorus : O maiyya gaaye sagan
Behna hoke magan
Naache sakhiyon mein