Singers : Sonu Nigam and Rochak Kohli
Music by : Rochak Kohli
Lyrics by : Manoj Muntashir
Male : Hoooo oo hooo hoo oo hoo
Male : Ambar tale jag rahe hum tere
Aanchal tale rehte hain
Duniya mein hum hi akele hain jo
Maati ko maa kehte hain
Maati ko maa kehte hain
Chorus : Hmm hmmm hmmm mmmm
Male : Jaage tere liye saari umar
Tu hi aana sulane humein
Sar tera uncha rahe aye watan
Koyi jaane na jaane humein
Koyi jaane na jaane humein
Male : Ho khushbu ke jaise hawaon mein
Hum gumnaam se behte hain
Male : Duniya mein hum hi akele hain jo
Maati ko maa kehte hain
Maati ko maa kehte hain
Male : {Aye maa bharosa rakhna apni santanon par
Hum tiranga gaad denge aasmaanon par
Dushmanon sun lo humein jhukna nahi aata
Tumhari goliyan kam hain
Hamari chhatiyan zyada
Male : Hamare naam par dholak bajegi
Do jahanon mein
Marenge yoon ke hum zinda rahenge
Daasaanon mein
Male : Hindustan ko naaz hoga hum deewanon par
Hum tiranga gaad denge aasmaanon par} (Dialogue)
Male : Jismon par vardi na kaandhe sitaare
Jismon par vardi na kaandhe sitaare
Na jhande jhukenge zikar pe hamare
Par jaan nisaari ki jab baat hogi
Aage milenge kataaron mein hun
Male : To kya zameen pe rahein na rahein
Muskurayenge taaron mein hum
Muskurayenge taaron mein hum
Male : Woh baag hansta rahe hum jise
Both : Hindustan kehte hain
Male : Duniya mein hum hi akele hain jo
Maati ko maa kehte hain
Maati ko maa kehte hain
Maati ko maa kehte hain
Hum maati ko maa kehte hain
All : Maati ko maa kehte hain
Maati ko maa kehte hain
Hum maati ko maa kehte hain
Maati ko maa kehte hain
Male : Bharat mata ki jai