Singer : Jubin Nautiyal
Music by : Rochak Kohli
Lyrics by : Rashmi Virag
Male : Aao ek bheegi huyi si
Kahani sunata hoon
Jab aasmaan se boondein nahi
Mohabbat barsi hai
Barsaat ne aisi dhun chhedi
Jiske liye zindagi sadiyon tarsi thi (Dialogue)
Male : Kisi shayar ka dil banke
Barasti hain boondein tum pe
Kisi shayar ka dil banke
Barasti hain boondein tum pe
Male : Nazara uff kya hota hai
Ghuzarti hain jab zulfon se
Door kahin ab jao na tum
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Male : Dil mein yehi ek gham rehta hai
Sath mere tu kam rehta hai
Haan dil mein yehi ek gham rehta hai
Sath mere tu kam rehta hai
Male : Chhod ke abhi jao na tum
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Male : Haan dheere dheere haule haule
Bhiga dengi yeh barsaatein
Male : Haan dheere dheere haule haule
Bhiga dengi yeh barsaatein
Jaane kahan phir milengi
Humein aisi mulakaatein
Male : Sambhalun kaise main dil ko
Deewana chahe bas tumko
Khwahishon mein hi
Jal raha hoon main yahan
Male : Woh pehli si baarish banke
Baras jao na tum hum pe
Hawa ka rukh badal jaaye
Mohabbat karna tum aise
Khwab mera yeh todo na tum
Male : Ho ho
Male : Jismon se barasti baarish
Ne rooh bhiga di hai
Is mausam ki sazish ne
Yoon neend udaa di hai
Male : Waise to dubaane ko bas
Ik boond hi kaafi hai
Socho to zara kya hoga
Abhi raat yeh baaki hai
Sath mere beh jao na tum
Male : Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Bijli chamki lipat gaye hum
Baadal garja simat gaye hum
Male : Bijli chamki lipat gaye hum
Baadal garja simat gaye hum
Hosh bhi ho jaane do ghum
Male : Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun