Singer : Rahat Fateh Ali Khan
Music by : Kamran Akhtar
Lyrics by : Mujtaba Ali Choni
Male : Kya ye lajim tha har ek roj tadpte jana
Hijar ki aag mein jal jal ke pinghalte jana
Mein to anjaan tha tumne hi sikhaya hai mujhe
Waqat ke sath hai kaise badalte jana
Male : Teri bebaak nazro se uljhna bhi zaroori tha
Zaroori thi mohbat to samjhna bhi zaroori tha
Kya hota ek manjil ke musafir sath hi rehte
Tha rahana zakham tera jo wo bharna bhi zaroori tha
Teri bebaak nazro se uljhna bhi zaroori tha
Male : Abhi to sath chlne me sukun tum se mila hi tha
Manane ki jo rasme thi hai baki ruthna bhi tha
Sikayat tum ko thi mujh se to mujh se hi gila karte
Jo aansu behna chahte ho nahi unko piya karte
Male : Batao kya ye lazim tha tadpte chhod kar jana
Sile me in wafao ke tadpna bhi zaroori tha
Teri bebaak nazro se uljhna bhi zaroori tha
Male : Jahan milte the hum dono wha jakar bhut roya
Jise khone se darta tha wo aakhir maine hai khoya
Teri tasveer dekhu to nahi aata yakin mujh ko
Magar do rukh hai is tasveer ke ab hai yakin mujh ko
Male : Kaha tu mujh me mosam sa yahan aaya kha badla
Mujhe tumne ye sikhlaya badlna bhi zaroori tha
Zaroori thi mohbat to samjhna bhi zaroori tha
Teri bebaak nazro se uljhna bhi zaroori tha…