Singer : Rahgir
Music by : Shubhodeep Roy
Lyrics by : Rahgir
Male : Ek kachha ghada hu main
Ek kachha ghada hu main
Fir bhi barsaat mein
Khada hu main
Male : Boonde bereham hai
Unko yeh vehem hai
Ki main toot raha hu
Jo main cheekh raha hu…
Male : Par wo bewakoof hai
Main to seekh raha hu
Aise pehle bhi lada hu main
Ek kachha ghada hu main
Male : Hum wo hai jo kismat ke
Chanton ke shor pe nachte hai
Hum wo hai jo kismat ke
Chanton ke shor pe nachte hai
Jitni jor ka chanta
Hum utni jor se nachte hai – (Dialogue)
Male : Ye jo khisak khisak ke
Main aage ja raha hu
Ye jo fisal fisal ke
Main piche aa raha hu
Male : Ye jo pighal pighal ke
Main behta ja raha hu
Ye jo sisak sisak ke
Main aahe aa raha hu…
Male : Niche hai khaiyaan
Aur main kaanp raha hu
Par zinda hu abhi
Abhi haf raha hu
Aise pehle bhi chadha hu main
Ek kachha ghada hu main
Male : Ek to raahon mein babool bahut hai
Uske upar se apne usool bahut hai
Uske upar se log tokte rehte hai
Ke rahgir bhai udhar jao udhar phool bahut hai- (Dialogue)
Male : Ye jo hans rahi hai duniya
Meri nakamiyon pe
Tane kas rahi hai duniya
Meri nadaniyon pe
Male : Par main kaam kar raha hu
Meri sari khamiyon pe
Kal ye marenge taali
Meri kahaniyon pe
Male : Kal jo badlegi hawa
Ye saale sharmayege
Humare apne ho kehke
Ye baahe garmaayenge
Male : Kyonki ziddi bada hu main
Ek kacha ghada hu main
Fir bhi barsaat mein
Khada hu main
Male : Boonde bereham hai
Unko ye vehem hai
Ki main toot raha hu
Jo main cheekh raha hu
Male : Par wo bewakoof hai
Main to seekh raha hu
Aise pehle bhi lada hu main
Ek kacha ghada hu main…