Singer : Asim Azhar
Music by : Asim Azhar
Lyrics by : Asim Azhar
Male : Likha ashiqi ka maine falsafa you’n
Jaane anjaane mai kar chali dagha kyun
Teri khata tou kaatoo’n mai saza kyun
Huwe raaho’n mai najaane lapata kyun
Male : Deti muhabbat na sila koi
Sitam khud de ke hai khafa koi
Wafa bhi kar ke hai bura koi
Aisa bhi karta hai bhala koi
Male : Choro na karta main khayali baaten
Laata na rishto mai purani batein
Bana ishq ki misaal koi
Aur bana ishq pe sawal koi
Male : Din bhi mere kat’te nahi hain
Raato mai chamak hi nahi hai
Aise pehle hargiz tha nahi
Male : Jaane wo bhi kya kya keh gaye
Tarhpe roye par hum seh gaye
Aise pehle hargiz tha nahi
Kyun tum waade kar ke behke
Male : Kyun hum aas mai thay baithe
Par tum behte huwe paani ban gaye
Hum jo na gawara tumhe
Laut ke na aana mere
Male : Gham ka ik fasana ban gaye
Jaate jaate bas sunle ik sada
Jaane de ab thi kis ki kya khata
Dil se karna tha tera shukriya
Dard e dil jo mai likhun tu wajah
Male : Likha ashiqi ka maine falsafa you’n
Paas hote huwe bana faasla kyun
Rab jaane koi hal na mila kyun
Karti mujhse kia ghairo’n se gila kyun
Male : Waade kar ke behke kyu hum
Aas mai thay baithe par tum
Behte huwe paani ban gaye
Male : Hum jo na gawara tumhe
Laut ke na aana mere
Gham ka ik fasana ban gaye…