Tu Zinda Hai Song Lyrics in Padatik (2024)

Tu Zinda Hai Song Lyrics

Singers : Sonu Nigam and Arijit Singh

Music by : Salil Chowdhury

Lyrics by : Shailendra (Shankardas Kesarilal)

Male : Tu zinda hai to zindagi ki jeet mein yakeen kar
Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par
Tu zinda hai

Male : Ye gham ke aur chaar din sitam ke aur chaar din
Ye din bhi jaayenge guzar guzar gaye hazaar din

Male : Ye gham ke aur chaar din sitam ke aur chaar din
Ye din bhi jayenge guzar guzar gaye hazaar din

Male : Kabhi to hogi iss chaman pe bhi bahaar ki nazar
Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par
Both : Tu zinda hai

Both : Tu zinda hai to zindagi ki jeet mein yakeen kar
Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par
Tu zinda hai

Male : Hazaar bhes dhar ke aayi maut tere dvaar par
Magar tujhe na chhal saki chali gayi wo haar kar

Male : Hazaar bhes dhar ke aayi maut tere dwaar par
Magar tujhe na chhal saki chali gayi wo haar kar

Both : Nayi subha ke sang sada tujhe mili nayi umr
Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par
Tu zinda hai

Male : Tu zinda hai tu zindagi ki jeet mein yakeen kar
Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par
Both : Tu zinda hai

Male : Buri hai aag pet ki bure hai dil ke daag ye
Na dab sakenge ek din banenge inquilaab ye

Male : Buri hai aag pet ki bure hain dil ke daag ye
Na dab sakenge ek din banenge inquilaab ye

Both : Girenge julm ke mahal banenge phir naveen ghar
Agar kahin hai swarg toh utaar la zameen par
Tu zinda hai

Both : Tu zinda hai tu zindagi ki jeet mein yakeen kar
Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par
Tu zinda hai

Both : Tu zinda hai tu zindagi ki jeet mein yakeen kar
Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par
Tu zinda hai…

Scroll to Top