Ram Bin Jaaun Kahan Song Lyrics in Narci Album (2024)

Ram Bin Jaaun Kahan Song Lyrics

Ram Bin Jaaun Kahan Song Lyrics is a track from Narci Hindi Album – 2024, Starring Narci and Shri Alok Sahdev. This song was sung by Narci and Shri Alok Sahdev, music composed by Narci and lyrics written by Narci.

Singers : Narci and Shri Alok Sahdev

Music Director : Narci

Lyricist : Narci

Male : Mere dil ka swami prabhu ek tu hai
Chorus : Mere dil ka swami prabhu ek tu hai
Male : Teri hi mujhe raat din justjoo hai
Chorus : Teri hi mujhe raat din justjoo hai

Male : Mere dil ka swami prabhu ek tu hai
Chorus : Mere dil ka swami prabhu ek tu hai
Male : Teri hi mujhe raat din justjoo hai
Chorus : Teri hi mujhe raat din justjoo hai

Male : Jab dil ye toot sau dafa tum hi mere sath they
Tumse nahi chupe prabhu ghate saare haadse
Samay aaya bura kare logon ne bhi faasle
Hath nahi chora mera prabhu par aapne

Male : Raat se prabhu likh raha hoon geet ye
Paaya saara kuch fir bhi dil mein peed hai
Tera sath to paaya sab paas
Jab tu hi na sath fir kya bachi umeed hai

Male : Tune saha jo hum kahan wo seh sake
Shabri jaise mere aanshu kahan beh sake
Teri yaatra ke maayane na jaan sake…
Maryada usmein bhi na reh sake

Male : Kuch bhi mera nahi oonchi kya main shaan karun
Chain paane ko prabhu tera dhyaan karun
Hari dekh mujhe bolte to honge hi
Paap tere vairi hai to main kya tere praan harun

Male : Swyam se hi poocha jab maine haan ye sawal
Beta banke nek saka hai kya ghar sambhaal
Do baatein kabhi kari maata pita se
Sharvan banne ka tu karna bhai fir khyaal

Male : Ye jo chaar dhaam pehle ghar ke bheetar hai
Karna sewa sacchi wo bhi to haan teerth hai
Yadi shraddha hai to pathar bhi to jivit hai
Yadi nahi hai to murat kewal murat hai

Male : Ye to shukr hai ki ram hi aardhy hai
Bina ram ke to hum bhi sakha aadhe hai
Main to naam leke karta bas koshishein
Baaki kaam mera wohi to banate hai

Male : Teri leela ko na jaan sake gyaani hai
Baat soch ke ye hoti to hairaani hai
Dil deke prabhu treta waala tune aur
Kaale kaal mein chor diya praani ye

Male : Bina tere duniya mein hai kaun mera
Bina tere duniya mein hai kaun mera
Agar aasra hai to tera prabhu hai
Agar aasra hai to tera prabhu hai

Male : Mere dil ka swami prabhu ek tu hai
Chorus : Mere dil ka swami prabhu ek tu hai

Male : Bhakti aur paagalpan
Adhik antar nahi hota
Saansarik drishti se dekho
To bhakt pagal hi jaisa dikhaai deta hai

Male : Teri leela ko na jaan sake gyaani hai
Baat soch ke ye hoti to hairaani hai
Dil deke prabhu treta waala tune aur
Kaale kaal mein chor diya praani ye

Male : Teri leela ko na jaan sake gyaani hai
Baat soch ke ye hoti to hairaani hai
Dil deke prabhu treta waala tune aur
Kaale kaal mein chor diya praani ye

Male : Agar aasra hai to tera prabhu hai

Scroll to Top