Kabhi Kabhi Song Lyrics is a track from AUR Hindi Album – 2025, Starring Ahad Khan and Usama Ali. This song was sung by Ahad Khan and Usama Ali, music composed by Raffey Anwar and lyrics written by Ahad Khan and Usama Ali.
Singers : Ahad Khan and Usama Ali
Music Director : Raffey Anwar
Lyricist : Ahad Khan and Usama Ali
Male : Kabhi kabhi tu mujhko tuute khwab sa lage
Kabhi parhi nahin ho woh kitaab sa lage
Bhale meri yeh zindagi ho jitni bhi buri
Jo tujhko dekh loon toh phir mujhe kharaab na lage
Male : Kabhi bhi tu mujhko toote khwab sa lage
Kabhi padhi nahin ho woh kitaab sa lage
Bhale meri yeh zindagi ho jitni bhi buri
Jo tujhko dekh loon toh phir mujhe kharaab na lage
Male : Is zindagi mein chah liya hai is qadar tumhein
Main saath hun toh phir bhala hai kis ka dar tumhein
Agar kabhi main utar jaon dil se b tere
To kisi ghair se behtar hai k tum keh dena mujhe
Male : Main bhool jaunga yaad bhi na aaunga
Roou tere liye par tujhe hasaaunga
Dhoop tere pe lage toh chhaon main hojaaunga
Jo uthanay kaanch ho toh haath main hojaunga
Male : Sath bhi na chhodunga, paas bhi na aaunga
Har safar main main tera humsafar hojaunga
Tum toh phir tum ho na
Tum aao ya na aao main bhi main hoon phir
Main tumhein bulaunga
Male : Tum dekh lo idhar mujh ko be sahara na karo
Mujhko keh do doob jao par kinaara na karo
Hai pata tumhein tere bin ab guzara nahin hai
To jeene ki qasam yoon de ke mujhko maara na karo
Both : Or ab to muskurao ghussa chorr do
Torrd do ye zid ki dorr ko
Kass ke thaam lo ye haath chal do ab saahil ki aur ko
Male : Teri aankhon mein samandar to nahi
Par tum se behtar koi manzar bhi nahi
Dhoodho saath dekho phr se kho gaya
Mera dil ab tere andar toh nahi
Male : Ye saansein meri hain ya teri hain bata
Agar ye meri hain to te rukti kyu nahin
Main tere itna paas aana chahta hun
Ke jitni paas tere tu bhi khud nahi
Male : Dil ki ilteja ho tum bheegi se hawa ho tum
Kehkashaaon se bhi aage ka ek jahaan ho tum
Main jo muskurata hun uski har wajjah ho tum
Aa hee na sakay ga koi bilkul us jagah ho tum
Male : Tumhein kya lagta kya sab tum ko hee pata hai
Main janta hun mera chaand kyun khafa hai
Hai mujhko ilm sab tum mujhse kyu chhupate ho
Mera na hona tere gusse ki wajah hai
Male : Main sochta hoon aksar aisa hota hoga
Ke chaand chhup ke badalon mein rota hoga
Woh bhi to akela hai na is jahaan mein
Ya uski chaandni mein koi mujh sa hoga
Male : Kabhi chhupa dikhe khayalon mein mere
Kabhi tu door hai sawaalon say mere
Main tujh ko bhool jaon kaise
Ke chahoon pooray dil se
Ke mar ke bhi khatam na honge silsile kabhi