Phir Hari Aur Main Song Lyrics is a track from Narci Hindi Album – 2025, Starring Narci. This song was sung by Narci, music composed by Narci and Adarsh Yadav and lyrics written by Narci.
Singer : Narci
Music Director : Narci and Adarsh Yadav
Lyricist : Narci
Male : Ye duniya pooche khoya kahan
Ye duniya pooche khoya kahan
Jahan hari hai likha main khoya wahan
Jahan hari hai likha main khoya wahan
Male : Jisne jeevan bhar hari hi rata
Wo hari ke siva aur kya jaane
Jisne jeevan bhar hari hi rata
Wo hari ke siva aur kya jaane
Male : Hum narayan se bhet siva
Is jag mein bhala aur kya maangein
Hum narayan se bhet siva
Is jag mein bhala aur kya maangein
Male : Gaanon mein deewanon sa main hari ko pirota
Na daas kabhi hota hari naam jo na hota
Karne ko baatein badi prabhu main hoon chota
Dil ye deewana hari katha ka hi shrota
Male : Deke mujhe par bole aasman mein udd
Paake hari kripa ko hairaan hoon main khud
Aap hi ki aagya se ruka hoon main yahan
Anyatha bula raha hai aapka baikunth
Male : Dil prabhu paapi zara lena tu sambhaal
Leke avatar chaahe dena prabhu taar
Jay aur vijay jaisa yadi kara door to
Prabhu har kaal mein hi aap bano kaal
Male : Dhanyawaad aapka jo de rahe ho saath
Aap hi ne diya sab meri kya aukaat
Diya sab prabhu yadi chheen bhi haan loge
Phir bhi na baandhunga shikyaaton ka bandh
Male : Jisne jeevan bhar hari hi rata
Wo hari ke siva aur kya jaane
Jisne jeevan bhar hari hi rata
Wo hari ke siva aur kya jaane
Male : Hum narayan se bhet siva
Is jag mein bhala aur kya maangein
Hum narayan se bhet siva
Is jag mein bhala aur kya maangein
Male : Jisne jeevan bhar ..(4)
Male : Jisne jeevan bhar hari hi rata
Wo hari ke siva aur kya jaane
Male : Ye gaana nahi praathna kaagazon mein aatma
Nain dekhe raasta aap hi ke dhaam ka
Saath bina aapke kabhi bhi na khaas tha
Aap hi na hote to main bhool jaata raasta
Male : Vyast hai zamaana saara hari ko hi paane mein
Paane mein na maza jo maza hai samaane mein
Kaise deewane tere log kya hi jaane
Aansu baha ke prabhu likhe maine gaane
Male : Hari meri aatma hai praan hridy sudh
Hari kare shaant mere aantrik yudh
Ghoomta main peeth pe baitha ke prabhu aapko
Mujhe jo banaya hota aapne garud
Male : Bhakti ko dekhe prabhu dev aur asur
Gaaun hari geet maana besure hai sur
Ghoomta main peeth pe baitha ke prabhu aapko
Mujhe jo banaya hota aapne garud
Male : Ab saunp diya is jeevan ka sab bhaar tumhare hathon mein
Hai jeet tumhare hathon mein hai haar tumhare hathon mein
Mujhe mein tujh mein bhed yehi main nar hoon tum ho narayan
Main hoon sansaar ke hathon mein sansaar tumhare hathon mein
Male : Jisne jeevan bhar hari hi rata
Wo hari ke siva aur kya jaane
Jisne jeevan bhar hari hi rata
Wo hari ke siva aur kya jaane
Male : Hum narayan se bhet siva
Is jag mein bhala aur kya maangein
Hum narayan se bhet siva
Is jag mein bhala aur kya maangein