Aayi Ajal Ai Zindagi Song Lyrics in Elaan -1947 Film (1947)

Aayi Ajal Ai Zindagi Song Lyrics

Aayi Ajal Ai Zindagi Song Lyrics is a track from Elaan Hindi Film – 1947, Starring Surendra Munawwar, Sultana, Himalayawala and Zebunissa. This song was sung by Amirbai Karnataki. Music was composed by Naushad Ali and lyrics work penned by Zia Sarhadi.

Singer : Amirbai Karnataki

Music Director : Naushad Ali

Lyricist : Zia Sarhadi

Female : Ha aayi ajal ai zindagi
Gham ka zamana tal gaya
Abb kya girengi bijaliya
Jab aashiya hi jal gaya

Female : Aa o shabe gham aaye ja
Sare jahan par chhaye ja
Abb tu hi tu rah jayegi
Abb kal na haragij aayegi

Female : Woh din jo dushman tha teraa
Woh zindagi ka din meraa
Woh din hamesha ke liye
Han din wahi din bhar gaya
Gham ka zamana tal gaya

Female : Iss umra ka awwalapana
Iss umra ka aakirapana
Ek jhooth ka darbar hai
Batilapana jahilapana

Female : Yeh zindagi kuchh bhi nahin
Yeh zindagi kuchh bhi nahin
Natak ka jhutha khel hai
Jab tak chala so chal gaya
Gham ka zamana tal gaya

Female : Ha aayi ajal aayi zindagi
Gham ka zamana tal gaya
Abb kya girengi bijaliya
Jab aashiya hi jal gaya.

Scroll to Top