Singers : Asim Azhar and Talha Anjum
Music by : Asim Azhar
Lyrics by : Asim Azhar
Male : Bematlab hui humari zindagi
Bematlab hui hai saari bandagi
Kive’n samjhawan tenu
Male : Ishq da rog ay menu
Kive’n samjhawan tenu
Ishq da rog ay menu
Zehmat hi sahi kya aisi berukhi…
Male : Mujhko aisi na saza de
Apne bin jeena sikha de
Yaaden saari pal mai jala de
Khoya hoon mai ghar ka pata de
Male : Hijar ke ye pal guzarne ko raazi nayi
Dil mai bedili hai bechaini khati rayi
Khushbuein hain teri nazar kyu tu aati nayi
Male : Dil ke baagh mai ab koile bhi gati nayi
Tere peeche mai dewaana ik zamane se
Ik zamana mujhpy guzra tere jaane se
Male : Rawani nayi hai saans mai dooba hoon jaise paani mai
Mujhe shor nayi chahiye gehraiyoun mai jaane de
Ab mujhpe jo guzar rayi
Male : Tumhe to koi khabar nayi
tareeke hi karein benaqaab tujhy
Dil e betaab karein bezar mujhy
Dil ab banjar koi zinda shajar nayi
Male : Chand yar hi ab dikhein mere saath mujhy
Parhein zehen mera samjh k kitaab mujhy
Kehti ho mujhy bas jee or aap tum
Paharoun k beech chupa ik talaab tum
Male : Meri mehfiloun ki ronaq or adab tum
Agar mai mausiqi hoon toh phir rabab tum
Ab tu bhi hai akeli and i know
Male : Teri kul mila ke saheliyaan do
Fake smile but the pain still shows
Tu chup rahe where you could let it go
Male : Bekaraari hai raat bhaari hai…
Chaain na mile kahin pal bhar
Male : Rog ye tera
Hum pe taari hai
Chha rahi hai dil mai halchal
Vekhaa’n mai teriyan raawa’n
Male : Uth de kyun digda jaawa’n
Wekhaan mai teriyan raawa’n
Tere wal mai turda jaawa’n
Bematlab huwi hamari bekhudi
Male : Mujhko aisi na saza de
Apne bin jeena sikha de
Yaaden saari pal mai jala de
Khoya hoon mai ghar ka pata de
Male : Hijar ke ye pal guzarne ko raazi nayi
Dil mai bedili hai bechaini khati rayi
Khushbuein hain teri nazar kyu tu aati nayi
Dil ke baagh mai ab koile bhi gati nayi