Singers : Alka Yagnik and Udit Narayan
Music by : A. R. Rahman
Female : Umm..hmm hmm hmm
Umm..hmm hmm hmm
Female : Dekho na.. zara dekho na..
Tum ho main hoon
Aur ye tanhaaiyaan hai
Female : Dekho na.. zara dekho.. na..
Kaisi narm si ye
Parchhaaiyaan hai
Female : Suno zara suno zara
Dhadkanon ki sada
Suno zara suno zara
Geet khaamoshi ka
Suno zara suno zara
Kehti hai.. raat kya..
Male : Raat hai leke aayi
Kitne armaan anjaane
Kehti hai sau afsaane
Sunta hoon main
Male : Raat ne li angdaai
Anhoni baat hai hoti
Bikhre hai jaise moti
Chunta hoon main..
Male : Tumne.. ye kya keh diya..
Meri aankhon mein diye
Hai jaise jal gaye
Male : Tumne ye kya keh diya
Meri raaton ke andhere
Jaise dhhal gaye
Female : Tumse hi toh milke maine
Jaana hai sapne kya
Hote hain ho ohh..
Tumse hi toh milke
Maine jaana hai
Dil kaise khote hain oh oo..
Male : Chaandni se bhi pyaari mujhko
In palkon ki chhaaon..
Tumne basaaya mere dil mein
Ik sapnon ka gaaon
Female : Tumne mujhko chaaha toh
Mausam rang chhalkaata hai
Har pal jee ab gaata hai
Mere liye..
Male : Tumne mujhko chaaha toh
Jeevan ki saari raahein
Khole hain apni baahein mere liye
Female : Dekho na.. zara dekho na..
Tum ho main hoon aur
Ye tanhaaiyaan hai
Female : Dekho na.. zara dekho na..
Kaisi narm si ye
Parchhaaiyaan hai
Male : Hmmmm…
Tum bin din sune they raatein
Suni thi viraani thi
Chhaayi… oh ooo…
Male : Ab jaise din chamke raatein
Mehki hai tum ho jo
Hamraahi… oh.. oo…
Female : Tum bin jaise main thi adhoori
Poori ho gayi hoon main..
Female : Tumko paake jag paaya hai
Par khud kho gayi hoon main
Male : Ham dono ne ab jaana
Jeene ka matlab kya hai
Female : Pehle kya thi ab kya hai
Ye zindagi..
Male : Ham dono ne ab jaana
Duniya kitni pyaari hai
Female : Paayi kitni saari hai
Hamne khushi
Male : Dekho na zara dekho na
Tum ho main hoon aur
Ye tanhaaiyaan hai
Male : Dekho na zara dekho na
Kaisi narm si ye
Parchhaaiyaan hai
Female : Suno zara.. suno zara..
Dhadkanon ki sada
Suno zara.. suno zara..
Geet khaamoshi ka
Suno zara.. suno zara..
Kehti haiii.. raat kya..