Singer : Altamash Faridi
Music by : Aslam Keyi
Lyrics by : Tanveer Ghazi and Meraj Ali
Male : Bechain aankhein meri
Dhoondhe tujhe hardum
Bechain aankhein meri
Dhoondhe tujhe hardum
Tujhse bichhadke jaana
Yeh dil kare maatam
Barbaad hai zindagi
Ek dard hai aaj bhi
Iss dard-e-dil ka saahil naa hua
Male : Yeh alag baat hai ke tu mujhe haasil naa hua
Yeh alag baat hai ke tu mujhe haasil naa hua
Aur judaa hoke bhi main tujhse ghafil naa hua

Male : Pyaar tera meri taqdeer mein shaamil naa hua
Pyaar tera meri taqdeer mein shaamil naa hua

Male : Toota sitaara koyi chhuta sahara koyi
Jaa ke bubara koyi aaya nahin
Zinda zamaane tere mehke fasaane tere
Kisse purane tere bhoola nahin
Male : Dil mein khalish si rahi afsoos hai bas yehi
Kyon dil yeh tere qaabil naa hua
Male : Yeh alag baat hai ke tu mujhe haasil naa hua
Yeh alag baat hai ke tu mujhe haasil naa hua
Aur judaa hoke bhi main tujhse ghafil naa hua
Aur judaa hoke bhi main tujhse ghafil naa hua
Male : Aankhon mein paani le ke teri nishaani le ke
Koyi kahani le ke main jee raha
Sulge savere mere zakhmi andhere mere
Tanha basere mere tere siva
Male : Chup hai teri yaad bhi yaara tere baad bhi
Iss dil mein koyi daakhil naa hua