Singer : Lata Mangeshkar
Music by : Madan Mohan
Lyrics by : Raja Mehandi Ali Khan
Female : Hai isi mein pyar ki aabru
Woh jafa karein main wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sake
To wohi kahein ke main kya karoon
Hai isi mein pyar ki aabru
Female : Mujhe gham bhi unka azeez hai
Ke unhi ki di hui cheez hai..
Mujhe gham bhi unka azeez hai
Ke unhi ki di hui cheez hai
Ke unhi ki di hui cheez hai
Female : Yehi gham hai ab meri zindagi
Ise kaise dil se juda karoon
Hai isi mein pyar ki aabru
Female : Jo na ban sake main woh baat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon..
Jo na ban sake main woh baat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon
Female : Yeh likha hai mere naseeb mein
Yunhi shamma banke jala karoon
Hai isi mein pyar ki aabru
Female : Na kisi ke dil ki hoon aarzoo
Na kisi ki nazar ki hoon justjoo..
Na kisi ke dil ki hoon aarzoo
Na kisi ki nazar ki hoon justjoo
Na kisi ki nazar ki hoon justjoo
Female : Main woh phool hoon jo udaas ho
Na bahaar aaye to kya karoon
Hai isi mein pyar ki aabru
Woh jafa karein main wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sake
To wohi kahein ke main kya karoon
Hai isi mein pyar ki aabru