Hamen Duniya Ko Song Lyrics is a track from Aadhi Raat Hindi Film – 1950, Starring Ashok Kumar, Nargis Dutt and Others. This song was sung by Mohammed Rafi and Lata Mangeshkar. Music was composed by Husnlal Bhagatram and lyrics work penned by Asad Bhopali.
Singers : Mohammed Rafi and Lata Mangeshkar
Music Director : Husnlal Bhagatram
Lyricist : Asad Bhopali
Female : Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Tadap lete hain lekin
Unko tadpaanaa nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Female : Ghadi bhar ke liye bhi
Door unse rah nahin sakte
Tumhen ham chaahte hain
Unse ye bhi keh nahin sakte
Naa jaane kyun zubaan par
Dil kaa afsaanaa nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Male : Koi haalat ho duniyaa
Pyaar ki aabaad rahti hai
Kabhi jab wo nahin hote
To unki yaad rahti hai
Mohabbat wo kali hai
Jisko murjhaanaa nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Female : Umangen jaag utthi hain
Tamannaa muskaraayi hai
Hamaare dil ne armaanon
Ki ik mehfil sajaayi hai
Ye wo mehfil hai jismen
Koi begaanaa nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa
Female : Tadap lete hain lekin unko
Tadpaanaa nahin aataa
Hamen duniyaa ko dil ke
Zakhm dikhlaanaa nahin aataa.