Hum To Bhai Jaise Hain Song Lyrics in Veer-Zaara (2004)

Hum To Bhai Jaise Hain Song Lyrics

Singer : Lata Mangeshkar

Music by : Madan Mohan

Lyrics by : Javed Akhtar

Female : Hmm..hmm..
Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge

Female : Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge
Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge

Female : Ab koi khush ho ya ho khafa
Hum nahi badlenge apni ada
Samjhe na samjhe koi hum
Yahi kahenge

Female : Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge
Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge

Female : Hmm hum dil ki shehzaadi hai
Marzi ki mallika
Haa hum dil ki shehzaadi hai
Marzi ki mallika

Female : Sar pe aanchal kyun rakhe
Dhalkaa to dhalkaa
Ab koi khush ho ya koi roothe
Is baat par chahe har baat toote

Female : Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge
Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge

Female : Hume shauk mehandi ka na
Shehnai ka hai
Ho hume shauk mehandi ka na
Shehnai ka hai

Female : Humare liye to apna ghar
Hi bhala hai
Sunta agar ho to sun
Le kaazi
Lagtaa nahin kabhi hum
Honge razi

Female : Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge
Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge

Female : Ab koi khush ho ya ho khafa
Hum nahin badlenge apni ada
Samjhe na samjhe koi hum
Yahi kahenge

Female : Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge
Hum to bhai jaise hain
Waise rahenge

Female : Aaa haha aa haha aa..
Ho hoho hoho ho.

Scroll to Top