Music By : Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Loy Mendonca
Singers : Vishal Dadlani
Male : Kas ke joota, kas ke belt
Khons ke andar apni shirt
Manzil ko chali sawaari
Kandhon pe zimmedari
Male : Hath mein file, man mein dum
Meelon meel chalenge hum
Har muskil se takrayenge
Tas se mas na honge hum
Male : Duniya ka naara – Jame raho
Manzil ka ishaara – jame raho
Duniya ka naara – jame raho
Manzil ka ishaara – jame raho
Male : Yeh sote bhee hain attention
Aage rehne ki hai tension
Mehnat inko pyaari hai
Ek dum aagyankari hai
Male : Yeh omelette par hi jeete hain
Yeh tonic saare peete hain
Waqt pe sote, waqt pe khate
Taan ke seena badhte jate
Male : Duniya ka naara – jame raho
Manzil ka ishaara – jame raho
Duniya ka naara – jame raho
Manzil ka ishaara – jame raho
Male : Yahan alag andaz hai
Jaise chhidta koi saaz hai
Har kaam ko tala karte hain
Yeh sapne pala karte hain
Yeh hardam socha karte hain
Yeh khud se poocha karte hain
Male : Kyun duniya ka naara – jame raho
Kyun manzil ka ishaara – jame raho
Kyun duniya ka naara – jame raho
Kyun manzil ka ishaara – jame raho
Male : Yeh waqt ke kabhi gulam nahin
Inhein kisi baat ka dhyaan nahin
Titli se milne jaate hain
Yeh pedon se batiyate hain
Male : Yeh hawa batora karte hain
Barish ki boondein padhte hai
Aur aasmaan ke canvas pe
Yeh kalakariyan karte hain
Male : Kyun duniya ka naara – jame raho
Kyun manzil ka ishaara – jame raho
Kyun duniya ka naara – jame raho
Kyun manzil ka ishaara – jame raho