Singers : Ahad Khan and Usama Ali
Music by : Raffey Anwar
Lyrics by : Ahad Khan and Usama Ali
Male : Kabhi mein kabhi tum
Chale donon sarkon pe
Ke jaise tum kho gaye
Anjani raahon pe
Male : Ke jaana mudke aana
Ke jaana mudke ke aana tum
Hame na bhool jana re
Ke jaana mudke ke aana tum
Hame na bhool jana re…
Male : Bhool na jana tum
Humko bhool na jana
Bhool na jana tum
Humko bhool na jana
Male : Jaana meri aankhein teri
Maine dekha hai inme ek kinara
Aankhon ko jo dekhu na main
Ton bin dekhe na hota hai guzara
Male : Kabhi mein kabhi tum chalein
Duniya ki daud mein aise bhaagne
Ke chhode manzilon ko lage
Raahon mein din kaatne
Male : Din kaate kis tarah
Tujhko dekhe bina
Tujhko dekhu toh
Sukoon milta be panah
Male : Ab main aur tum bhi
Humse hum ban jayenge
Aankhon ki jheel mein terenge
Aur zulfon pe mar jayenge…
Male : Ke jaana dil mein rehna
Ke jana dil me rehna tum
Hamein na bhool jana re
Ke jaana mudke aana tum
Hamein na bhool jana re
Male : Bhool na jana tum
Humko bhool na jana
Bhool na jana tum
Humko bhool na jana
Male : Sapnon sa toota dil hai
Dhadkan mein tu shaamil hai
Tu mere dil mein nahi hai
Arre jaana tu hi dil hai
Male : Khwabon ki tu manzil hai
Gaalon pe tere til hai
Main usko chhuna chahun
Dekho kitna mushkil hai
Male : Kyon ke jaana kabhi tum ne na jana
Mujhe arsa huwa hai
Main hoon ab bhi deewana tera
Male : Kyon ke jaana kabhi tum ne na jana
Mera dil bhi hai khaali hai
Aur jug hai virana mera
Kyon ke jaana
Male : Kyon ke jaana
Teri aankhen karen baate mujhse
Kyon ke jaana teri aankhon ne
Apnaya khud se
Male : Tum dekho sara zamana
Fir wapis laut ke aana
Poore dil se apnana
Tum humko bhool na jana
Male : Bhool na jana tum
Humko bhool na jana
Bhool na jana tum
Humko bhool na jana…
Humming : ……………….