Kadar Na Jaane Song Lyrics in Ipsitaa Album Songs (2024)

Kadar Na Jaane Song Lyrics

Singers : Ipsitaa and Surabhi Dashputra

Music Director : Arjuna Harjai

Lyricist : Surabhi Dashputra

Female : Karega pyaar ki woh baatein
Banega woh bechara
Tujhe ye bhi main bataa doon
Rahega woh aawara

Female : Milne ka jab main boloon
Deta koi bahaana
Kehta hai har kisi ko
Uska hi woh deewana

Female : Kadar na jaane
Daiyaa na jaane re
Kadar na jaane
Saiyaan na jaane re
Kadar na jaane
Kadar na jaane
Hui baimani re

Female : Aankhon ke padh na sake jo ishaare
Aise nikammon se dil na laga re
Jhoothi ye kasmein hain
Jhoothe ye laarey
Bhaad mein jaayein ye saare ke saare

Female : Abhi tu sunti jaa rahi hai
Kahein jo uski aankhein
Phir na aaengi samajh me
Samajhdaari ki baatein

Female : Abhi dekhe tu uske sapne
Wahi teri kahaani
Aur bewajah phire tu
Ban ke uski deewani
Par woh toh

Female : Kadar na jaane
Daiyaa na jaane re
Kadar na jaane
Saiyaan na jaane re
Kadar na jaane
Hui baimani re…

Female : Na jaane na jaane
Kadar kadar
Na jaane
Na jaane
Kadar na jaane
Hui baimaani re…

Scroll to Top