Khud Se Jo Vada Kiya Tha Song Lyrics  in Silsila (1981)

Khud Se Jo Vada Kiya Tha Song Lyrics 

Singer : Pamela Chopra

Music by : Shiv-Hari

Lyrics by : Nida Fazli

Female : Khud se jo wada kiya tha
Woh nibhaya na gaya
Khud se jo wada kiya tha
Woh nibhaya na gaya

Female : Humne chaha to bohat
Tumko bhulaya na gaya

Female : Khud se jo wada kiya tha
Woh nibhaya na gaya

Female : Kaisa rishta hai yeh
Do toote huye khwabon ka
Kaisa rishta hai yeh
Do toote huye khwabon ka

Female : Wo hi apne hai jinhe
Apna banaya na gaya
Wo hi apne hai jinhe
Apna banaya na gaya

Female : Tumne chhoda tha jahan
Hum to wahin pe ab tak
Tumne chhoda tha jahan
Hum to wahin pe ab tak

Female : Hum jahan milte wahan
Tumse hi aaya na gaya
Hum jahan milte wahan
Tumse hi aaya na gaya

Female : Aap hi aap barasne
Lagi aankhein kaise
Aap hi aap barasne
Lagi aankhein kaise

Female : Tumko dekha to koi
Raaz chupaya na gaya
Humne chaha to bohat
Tumko bhulaya na gaya

Female : Khud se jo wada kiya tha
Woh nibhaya na gaya

Scroll to Top