Khuda Na Khasta Song Lyrics in One By Two (2014)

Khuda Na Khasta Song Lyrics

Singers:  Arijit Singh

Music by : Shankar–Ehsaan–Loy

Male : Tukdon ki yeh… tasveer hai…
Tukdon mein bhi lekin haseen tehreer hai
Kehne ko yoon.. keh leejiye…
Tewar bhari se badnuma yeh zanjeer hai

Male : Yeh zindagi jua hai
Kisko yakeen hua hai
Baaziyan na munasib kahin badh jaaye na
Ik tarfa safar ke lab pe yehi dua hai

Male : Kahin na ganwara mod koi mud jaaye na

Chorus : Khuda na khasta
Khuda na khasta
Kudaya khair kare
Khuda na khasta

Male : Ik haath mein… sau haath hai…
Aur doosre mein ranjishein hain jazbaat hain
Na jaane kyun… iske liye…

Male : Kohraam mein kuchh itminaan si baat hai

Male : Yeh zindagi dhuaan hai
Kisne ise chhua hai
Titliyon ki tarah shokh hai udd jaaye na
Ek tarfa safar ke lab pe yehi dua hai
Kahin na ganwara mod koi mud jaaye na

Chorus : Khuda na khasta
Khuda na khasta
Kudaya khair kare
Khuda na khasta

Male : O.. jeene ko jo aashiyana biyabaan hai
O.. palta ussi aashiyaane mein toofan hai

Male : Saaiyaan… saaiyaan…
Aalap

Male : Itni silvatein maazi mein padi
Jeene ki wajah unse thi badi
O… zaaya baat kyun shikwon mein karein
Adhoori hasratein dar pe hain khadi

Male : O.. yeh zindagi nasha hai
Takleef mein maza hai
Iski fitrat mein hi jung hai chhid jaaye na
Ik tarfa safar ke lab pe yehi dua hai
Kahin na ganwara mod koi mud jaaye na

Chorus : {Khuda na khasta
Khuda na khasta
Kudaya khair kare
Khuda na khasta} (2)

Scroll to Top