Music By : Shanker, Ehsaan, Loy
Singers : Shankar Mahadevan, Shaan, K K
Male : Koi kahe kehta rahe
Kitna bhi humko deewana
Koi kahe kehta rahe
Kitna bhi humko deewana
Hum logon ki thokar mein hai yeh zamana
Male : Jab saaz hai awaaz hai
Phir kis liye hichkichana
Jab saaz hai awaaz hai
Phir kis liye hichkichana
Ho.. gaayenge hum apne dilon ka tarana
Bigde duniya bigadne bhi do
Jhagde duniya jhagadne bhi do
Lade jo duniya ladne bhi do
Tum apni dhun mein gaao
Duniya roothe roothne do
Bandhan toote tootne do
Koi chhoote chhootne do
Na ghabrao
Hum hain naye andaaz kyun ho purana
Hum hain naye andaaz kyun ho purana
Male : Aankhon mein hain bijliyaan
Saanson mein toofan hain
Dar kya hai aur haar kya
Hum is se anjaan hain
Hamare liye hi to hain
Aasman aur zameen..
Sitare bhi hum tod lenge
Hamein hai yakeen..
Ambar se hai aage hamara thikana
Hum hain naye andaaz kyun ho purana..
Male : Sapnon ka jo des hai
Haan hum wahin hain pale
Thode se dil-phenk hain
Thode se hain manchale
Jahan bhi gaye apna jaadu dikhate rahe..
Mohabbat haseeno ko aksar sikhate rahe..
Aaye hamein dil aur neendein churana
Hum hain naye andaaz kyun ho purana
Male : Koi kahe kehta rahe
Kitna bhi humko deewana
Koi.. kehta..
Kitna bhi humko deewana
Hum logon ki thokar mein hai yeh zamana..
Ho.. Jab saaz hai awaaz hai
Phir kis liye hichkichana HOO..
Jab saaz hai awaaz hai
Phir kis liye hichkichana
Ho.. gaayenge hum apne dilon ka tarana
Bigde duniya bigadne bhi do
Jhagde duniya jhagadne bhi do
Lade jo duniya ladne bhi do
Tum apni dhun mein gaao
Duniya roothe roothne do
Bandhan toote tootne do
Koi chhoote chhootne do
Na ghabrao
Chorus : Hum hain naye andaaz kyun ho purana
O hum hain naye andaaz kyun ho purana
Hum hain naye andaaz kyun ho purana
Haan hum hain naye andaaz kyun ho purana