Kumbh Katha (Aastha Ki Dubki) Song Lyrics in Narci Album (2025)

Kumbh Katha (Aastha Ki Dubki) Song Lyrics

Kumbh Katha (Aastha Ki Dubki) Song Lyrics is a track from Narci Hindi Album – 2025, Starring Narci. This song was sung by Narci and Shailendra Bharti, music composed by Xzeus and lyrics written by Narci and Sant Kabir.

Singers : Narci and Shailendra Bharti

Music Director : Xzeus

Lyricist : Narci and Sant Kabir

Male : Mera mujh mein kuch nahi jo kuch hai wo tera
Mera mujh mein kuch nahi jo kuch hai wo tera
Tera tujhko saunpte kya laage hai mera
Kya laage hai mera

Male : Kuch bhi na mera prabhu tera tujhe arpan
Tune hi dikahya mujhe karamo ka darpan
Naam leke tera beeta mera prabhu har kshan
Diya tune sab bas ab mangu darshan

Male : Kumbh ki ye ghadi aayi kai saalon baad
Pryagraaj thaame jayakron ka naath
Haridwar goonj utha hari har bolon se
Nasik ujjain thaame aastha katar

Male : Kumbh peeche katha kya nahi tujhe pata yadi
Katha ye batane ko hari ka bhi daas yahin
Chinta na karo sankshep mein bataunga
Bhakton ke dilon ke sameep hai kyun ye ghadi

Male : Us ghatna ko gaane mein hai bandh diya
Jab rishi durvasa ne tha sraap diya
Swarglok ko haan chor ke vilaas gaya
Teeno loko pe tha bali ne hi raaj kiya

Male : Fir kya tha devon mein niraasha jaagi
Samadhan hetu aankhein hari dham bhaagi
Hari bole jaake asuro se baat karo
Bacha yehi aage devo ab raasta hi

Male : Suno devon karo zara gaur
Mandar pe banao tum vasuki ko dor
Uthega samandar mein manthan ka shor
Sudha hi banega is khsaap ka hi tod

Male : Asuron ne maan liya devon ka sujhaav
Asuron ke dil mein tha lobh gaya jaag
Hari bane dharatal kurm avatar mein
Amrit prapti ki lagi fir aag

Male : Mathne ko sagar badha dekho veg
Ratno ka aagaman rahe saare dekh
Halahala nikla jo kisi ne bhi piya na
Peene ko padhaare use swyam mahadev

Male : Maya mui na man mua mari mari gaya sareer
Maya mui na man mua mari mari gaya sareer
Aasha trishna na mui keh gaye daas kabir re bhai
Keh gaye daas kabir

Male : Jaise hi nikla tha manthan se kumbh
Kumbh se sudha ko peene ki dhun
Devon ne thaama tha amrit ka kalash
Asuro ke naino se hue they gum

Male : Hathon mein kumbh tha pairon mein veg
Asur they peeche aur aage they dev
12 dino tak ye chali thi daud
Kahan daud mein boondein haan giri thi dekh

Male : Chaar sthanon pe they giri boondein kumbh se
Bolo kya bataoge jo sthaan puchun tumse
Chaar in sthano ne boondein kari grahn
Haridwar praygraaj nashik ujjain

Male : Ganga yamuna godavari aur shipra
Bani thi paavan jo sudha tha bikhra
Yadi koi glani ka kaanta hai chubhta
To karle snaan aur ant hoga dukh ka

Male : Vrshchik raashi mein surya aur chandr ho
Brhaspati mesh mein daal deta charan ho
Makar sakaranti mein hota ye yoga
Choo ke haan paani ko tan maana dhny ho

Male : Kumbh ke mele mein lena sanaan
Swarg ke saakshat darshan samaan
Kehte hai milta daason ko moksh
Karle haan praani tu hari ka dhyaan

Male : Ye jo karm na hai yehi teri sath hai
Yehi sath hoge tujhe bhi gyaat hai
Kaya teri kal kaakh hogi ghaat pe
Bhaar leke nahi sona koi khaat pe

Male : Waisa paayega tu praani jaisa boyega
Beda paar hoga hari mein jo khoyega
Tan dhoya tune paavan si naadiyon mein
Leke hari naam par dil ko bhi dhoyega

Male : Karne hai paap baad karne ke jaap
To tujhko hai dena bas yehi sujhaav
Kumbh mein unke hi dhulte hai paap
Jo sacche hridy se chune pashchaataap

Male : Kabir soota kya kare jaagi na jape murari
Kabir soota kya kare jaagi na jape murari
Ek din tu bhi sovega lambe paanv pasaari re bhai
Lambe paanv pasaari

Scroll to Top