Mera Aapki Kripa Se Song Lyrics is a track from T-Series Hindi Album – 2025, Starring Palash Tiwari, Aakash Gupta and Cherry Mardia. This song was sung by Tulsi Kumar, music composed by Raaj Aashoo and lyrics written by Manoj Muntashir.
Singer : Tulsi Kumar
Music Director : Raaj Aashoo
Lyricist : Manoj Muntashir
Female : Tum krishna hum sudama aao gale laga lo
Sab chhodte hain tum pe kanha tum hi sambhalo
Swami jage hai sevak nishchint so raha …hai
Nishchint so raha hai
Female : Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai
Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai
Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai
Female : Nadiya mein jaise tinka bhakti mein yun bahe hum
Nadiya mein jaise tinka bhakti mein yun bahe hum
Ab tum hi tum bache ho baaki kahaan rahe hum
Baaki kahaan rahe hum
Female : Hum mera rom rom dekho ghanshyam ho raha hai
Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai
Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai
Female : Aangan mein jab se kanha tumko bitha diya hai
Aangan mein jab se kanha tumko bitha diya hai
Kutiya ko meri tumne mandir bana diya hai
Mandir bana diya hai
Female : Mere ghar ka kona kona tera dhaam ho raha hai
Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai
Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai
Female : Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai
Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai…