LYRIC

Singers : Sachet-Parampara

Music by : Sachet-Parampara

Lyrics by : Irshad Kamil

Female : Jitni dafa dekhun tujhe
Utni dafa ishq ho
Main kya karun
Mera agar har falsafa ishq ho

Male : Aa baahon mein chahiye tu umar bhar
Jadui sa hamsafar baahon mein

Both : Mera saaya tera hai hamnva
Main na chahun…koi tere siva
Female : Ishq jiska naam hai paaglon ka kaam hai
Ye hai zehar aur yahi jaam hai

Male : Aagosh mein tu ho mere main hosh mein aau na
Tu jannaton ka khawab hai main chorh ke jau na
Tu dhoop ka tukda hai ya pariyon ka hai ayina
Tu khawahishon ka husn hai mere liye hai fanaa

Male : Baahein teri hai ghar mera main chorh ke jau na
Ek hona ishq mein abb aa gaya hai hamko jaana
Ye hai ishq dariyan honslon ka khel hai
Ye na yahan se kabhi aariyan

Both : Mera saaya tera hai hamnva
Main na chahun koi tere siva

Female : Maine teri baaton mein aise kho jana
Kho jata hai jaise ke deewana
Mere bina tu kya tere bina main kya
Meri tu kahani tera main fasana

Male : Aa raha hai pyaar tujhpe
Vaar dunga yaar tujhpe
Do jahaan
Dekho toh tu rahe mujh mein javaan
Main rahun jaane kahan hai kahan

Both : Mera saaya tera hai hamnva
Main na chahun koi tere siva
Male : Ishq jiska naam hai paaglon ka kaam hai
Female : Ye hai zehar aur yahi jaam hai…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT