Muskil Me Hai Kaun Kisi Ka Samjho Is Raaz Ko Song Lyrics in Angaar – 1992 Film (1992)

Muskil Me Hai Kaun Kisi Ka Samjho Is Raaz Ko Song Lyrics

Muskil Me Hai Kaun Kisi Ka Samjho Is Raaz Ko Song Lyrics is a track from Angaar  Hindi Film – 1992, Starring Jackie Shroff, Dimple Kapadia, Om Puri, Kader Khan, Kiran Kumar and Nana Patekar. This song was sung by Lata Mangeshkar, music composed by Laxmikant–Pyarelal and lyrics written by Anand Bakshi.

Singer : Lata Mangeshkar

Music Director : Laxmikant–Pyarelal

Lyricist : Anand Bakshi

Female : Muskil me hai kaun kisi ka
Samjho is raaz ko
Lekar apna naam kabhi tum
Khud ko aawaz do

Female : Muskil me hai kaun kisi ka
Samjho is raaz ko
Lekar apna naam kabhi tum
Khud ko aawaz do
Muskil me hai kaun kisi ka
Samjho is raaz ko

Female : Aur nahi to kam se kam
Itni to taklif karo
Aur nahi to kam se kam
Itni to taklif karo
Logo ki tarifo me
Kabhi apni bhi tarif karo
Sabse to tum khush ho
Apne aap se kyu naraz ho

Female : Muskil me hai kaun kisi ka
Samjho is raaz ko
Lekar apna naam kabhi tum
Khud ko aawaz do
Muskil me hai kaun kisi ka
Samjho is raaz ko

Female : Jine ka na shauk rahe to
Kya rakha hai jine me
Jine ka na shauk rahe to
Kya rakha hai jine me
Ek kaidi ki tarah pada hai
Kab se ye dil sine me
Pinjare ka darwaja todo
Panchhi ko parwaz do

Female : Muskil me hai kaun kisi ka
Samjho is raaz ko
Lekar apna naam kabhi tum
Khud ko aawaz do
Muskil me hai kaun kisi ka
Samjho is raaz ko

Female : Jaago hosh me aao
Phir se josh me aao
Jaago hosh me aao
Phir se josh me aao
Khun bahe nas nas me
Bebas man ho bas me
Band labo ko kholo
Aankho se kuch bolo
Chehra khali khali
Na gussa na gaali
Bolo mere janu
Mai kaise tumhe pahchanu
Ye julfo ka saya ye palko ki chhaya
Ye bharpur jawani
Pyar ki rut mastani
Ye naino ke jhule
Tum ye sab kuch bhule

Female : Yaad karo tum apna
Tuta sundar sapna
Tukda tukda jodo ye mayusi chodo
Khel ye hans kar khelo
Hath me hath ye lelo
Tum balwan nahi ho
Par bejaan nahi ho
Meri kasam uthao
Pahla kadam uthao
Sathi sath badhe hai
Sab taiyar khade hai
Chorus : Sathi sath badhe hai
Sab taiyar khade hai

Female : Bina lade mat haro
Dushman ko lalkaro
Chorus : Bina lade mat haro
Dushman ko lalkaro

Female : Geet purane gaao
Chedo dil ke saaz ko
Chorus : Geet purane gaao
Chedo dil ke saaz ko

Female : Lekar apna naam kabhi
Tum khud ko aawaz do
Chorus : Lekar apna naam kabhi
Tum khud ko aawaz do
Geet purane gaao
Chedo dil ke saaz ko
Lekar apna naam kabhi
Tum khud ko aawaz do
Geet purane gaao
Chedo dil ke saaz ko
Lekar apna naam kabhi
Tum khud ko aawaz do

Scroll to Top