Singers : S. P. Balasubrahmanyam and Sujatha Mohan
Music by : A. R. Rahman
Male : Naa ho kal jabsaari duniya
Bolo phir kya karoge
Naa ho kal jabsaari duniya
Bolo phir kya karoge
Female : In aankho se tab dekhenge
Nile ambar ko hum pe
Chumenge hum is dharti ko
Pyar se rukhsat le lenge
Phir seene pe tere sar rakh lenge
Tere umar ki duwa maangenge
Male : Naa ho kal jabsaari duniya
Bolo phir kya karoge
Female : Ujadne lagegi ujadne lagegi
Kal jab duniya bolo phir kya karoge
Male : Ek ek pal hai sau jivan sa
Tu jo saath hai mere
Hai do dil apne par ek jaa hum
Maut bhi mar jaaye humpe
Maangu khuda se tujhko hi main
Saare jaha ko bhulake
Male : Naa ho kal jabsaari duniya
Bolo phir kya karoge
Naa ho kal jabsaari duniya
Bolo phir kya karoge
Female : In aankho se tab dekhenge
Nile ambar ko hum pe
Chumenge hum is dharti ko
Pyar se rukhsat le lenge
Phir seene pe tere sar rakh lenge
Tere umar ki duwa maangenge
Male : Chaahat jab tak hai duniya mein
Duniya nahi mitegi
Female : Kaate chaahe kitne bhi ho
Kaliya khilti rahegi
Male : Lakho tufa aaye chaahe
Karva chalta rahega
Female : Mitti ka ye jism marega
Pyar to jinda rahega
Naa ho kal jab saari duniya
Bolo phir kya karoge
Male : Rahe naa rahe hum is duniya mein
Yaado mein teri rahenge
Dur se hi hum us duniya se
Tujhko dekha karenge
Haan jeeti rahe tu itne dino tak
Jitne ambar pe tare
Naa ho kal jab saari duniya
Bolo phir kya karoge….