Nadaaniyan (Title Track) Song Lyrics in Sony Music India (2025)

Nadaaniyan (Title Track) Song Lyrics

Nadaaniyan (Title Track) Song Lyrics is a track from Sony Music India Hindi Album- 2025, Starring Khushi Kapoor and Ibrahim Ali Khan. This song was sung by Varun Jain, Jonita Gandhi and Sachin-Jigar. Music was composed by Sachin-Jigar and lyrics work penned by Amitabh Bhattacharya.

Singers : Varun Jain, Jonita Gandhi and Sachin-Jigar

Music Director : Sachin-Jigar

Lyricist : Amitabh Bhattacharya

Female : Mehsoos dil kare jisey
Zubaan se keh sake usey
Ye har dafa zaroori toh nahi

Female : Ek cheez mein maza bhi ho
Maze ki phir wajah bhi ho
Ye har dafa zaroori toh nahi

Male : Zaroori toh nahi

Both : Kuch toh gustaakhiyan kuch toh manmaaniyan
Kabhi dil se ho jaane de nadaaniyan
Dil ke jazbaat hain itni si baat hai
Hoti hain ho jaane de nadaaniyan

Male : Dil ki udaanein chale jo aazmaane
Taare aasmaan ke phoonk ke bujhaane
Rishta zameen se humein nibhaana aa gaya
Yaari-dosti mein mohabbatein milaane
Lagi jo kisi pe zindagi lutaane
Pyaar khud se bhi zara jataana aa gaya

Female : Sapnon ke par daboch ke
Jo bhi karein wo soch ke
Ye har dafa zaroori toh nahi

Male : Zaroori toh nahi

Both : Kuch toh gustaakhiyan kuch toh manmaaniyan
Kabhi dil se ho jaane de nadaaniyan
Dil ke jazbaat hain itni si baat hai
Hoti hain ho jaane de nadaaniyan

Humming : ……….

Female : Nadaaniyan…

Scroll to Top