Pehle Kabhi Jo Na Hua Song Lyrics is a track from Zee Music Company Hindi Album – 2025, Starring Aishwarya Pandit. This song was sung by Aishwarya Pandit. Music was composed by Anu Malik and lyrics work penned by Azeem Shirazi.
Singer : Aishwarya Pandit
Music Director : Anu Malik
Lyricist : Azeem Shirazi
Pehle kabhi jo na hua wo toh tu mila toh ho gaya hai
Female : Aisi padi tujh pe nazar maine tere seene mein dil rakh diya hai
Chhuti rahoon tujhe aankhon se baatein karoon tere khwabon se
Hadd se zyada kyun isme main tere hoon
Female : Itna kabhi kiya nahi jitna ishq tujhse kar liya hai
Tu hai lamha koi raat ka tu hai kalma meri baat ka
Female : Na rahe tu kabhi mujhse juda kuch bhi nahi mujh mein mera
Naam sab kuch haan sab kuch tere kar diya hai
Naam sab kuch haan sab kuch tere kar diya hai
Female : Teri hui hoke tere tab ye jaana
Tu jo mujhe milta na toh tha mar jaana
Tere liye laayi hoon main mausam dil
Mere liye tu bhi wahi mausam laana
Female : Mere saath mein hi jee le aaj yehi
Mere saath mein hi jee le aaj yehi
Lamhon mein sadiyan tu
Female : Baatein meri saansein meri tujhpe maine sab kuch khatam kar diya hai
Baatein meri saansein meri tujhpe maine sab kuch khatam kar diya hai
Pehle kabhi jo na hua wo toh tu mila toh ho gaya hai
Aisi padi tujh pe nazar maine tere seene mein dil rakh diya hai
Female : Waqt mera saath mera sab hai tera
Mera magar koi nahi tu hai mera
Kuch bhi yahan itna bhi gehra nahi
Ishq mera dariya se hai zyada gehra
Female : Tere baad kahin koi aur nahi
Tere baad kahin koi aur nahi
Teri thi teri hoon kehne ko kya baaki raha
Female : Maine jo bhi kehna tha wo sab keh diya hai
Aisi padi tujh pe nazar maine tere seene mein dil rakh diya hai