Shree Laxmi Chalisa Song Lyrics in Apni Dhun (2024)

Shree Laxmi Chalisa Song Lyrics

Shree Laxmi Chalisa Song Lyrics is a track from Apni Dhun Hindi Album – 2024, Starring NA. This song was sung by Prithu Tiwari, music composed by Arghya Banerjee and lyrics written by Traditional.

Singer : Prithu Tiwari

Music Director : Arghya Banerjee

Lyricist : Traditional

Male : Maatu lakshmi kari kripa
Karo hridaya mein vaas
Manokamna siddh kari paruvahu meri aas

Male : Yahi mori ardas hath jod vinati karun
Sab vidhi karu suvas jai janani jagadambika

Male : Sindu suta main sumirau tohi
Gyan buddhi vidya do mohi
Tum samaan nahi koi upkari
Sab vidhi puravahu aas hamari
Jai jai jagat janani jagadamba
Sabake tum hi ho svalamba
Tum hi ho ghat ghat vaasi
Vinati yahi hamari khaasi
Jagajanani jai sindhu kumari
Dinan ki tum ho hitakari

Male : Vinavaun nitya tumahin maharani
Kripa karau jaga janani bhavani
Kehi vidhi stuti karaun tihari
Sudhi lijai aparadh bisari
Kripa drishti chitavavo mam ori
Jaga janani vinati sun mori
Gyan buddhi jai sukh ki data
Sankat haro hamari mata

Male : Kshirasindhu jab vishnu mathayo
Chaudah ratna sindhu mein payo
Chaudah ratna mein tum sukharasi
Seva kiyo prabuhi bani dasi
Jab jab janma jahan prabhu linha
Roop badal tahan seva kinha
Svayan vishnu jab nar tanu dhara
Linheu avadhapuri avatara

Male : Tab tum pragat janakapur mahin
Seva kiyo hridaya pulakahin
Apanaya tohi antaryami
Vishva vidit tribhuvan ki swami
Tum sam prabal shakti nahin aani
Kahan lau mahima kahaun bakhani
Man kram vachan karai sevakai
Man ichchhita vanchhit phal pai

Male : Taji chhal kapat aur chaturai
Pujahin vividh…bhanti man lai
Aur haal main kahaun bujhai
Jo yah paath kare man lai
Tako koi kashta na hoi
Man ichchhita pavai phal soi
Trahi trahi jai dukh nivarini
Trividh taap bhav bandhan harini

Male : Jo chalisa pade padave
Dhyana lagakar sunai sunavai
Takau koi na rog satavai
Putra aadi dhan sampatti pavai
Putrahin aur sampatti hina
Andh badhir kodhi ati dina
Vipra bolaya kai paath karavai
Shanka dil mein kabhi na lavai

Male : Paath karavai din chalisa
Ta par kripa karain gaurisa
Sukh sampatti bahut si pavai
Kami nahin kaahu ki avai
Barah maas karai jo puja
Tehi sam dhanya aur nahin duja
Pratidin paath karai man mahin
Un sam koi jag mein kahun naahin

Male : Bahuvidhi kya mai karaun badai
Leya pariksha dhyana lagai
Kari vishvas karai vrat nema
Hoy siddhi upajai ur prema
Jai jai jai lakshmi bhavani
Sab mein vyapita ho gun khaani
Tumharo tej prabal jag mahin
Tum sam kou dayalu kahun naahin

Male : Mohi anath ki sudhi ab lijai
Sankat kaati bhakti mohi dijai
Bhul chuk kari kshama hamari
Darshan dajai dasha nihari
Bin darshan vyakul adhikari
Tumahi achhat dukh sahate bhaari
Nahin mohin gyan buddhi hai tan mein
sab janat ho apane man mein
Roop chaturbhuja karake dharan
Kashta mor ab karahu nivaran
Kehi prakar main karaun badai
Gyan buddhi mohin nahin adhikai
Ramdas ab kahai pukari
Karo dur tum vipatti hamari

Male : Trahi trahi dukh harini haro begi sab tras
Jayati jayati jai lakshmi karo shatru ko naash
Ramdas dhari dhyan nit vinay karat kar jor
Maatu lakshmi daas par karahu daya ki kor…

Scroll to Top