Singers : Kunal Ganjawala and Runa Laila
Music by : Sandesh Shandilya
Female : O…shukriya o…shukriya
Ye dil tera bada shukriya
Ek nayi manzil hume
Tu le chala tera shukriya
Raste naye sathi naye
Aayenge ye dil ne kaha
Male : Dil ne suna.. dil ne suna
Wo jo kisi dil ne kaha
Udati hui aayi yaha
Ek ajnabi dil ki sada
Mehka diya ye rasta
Shukriya tera shukriya
Female : Mehke mehke raste hai
Chehke chehke aaja hum
Rasto ki dilkashi ye
Keh rahi hai thoda thum
Male : Behke behke aaj hum hai
Na rukenge ye kadam
Ye thi sada jiski use
Ek mod pe payenge hum
Female : Hmm us mod pe ha dil le chala
Ye dil tera bada shukriya
Ek nayi manzil hume
Tu le chala tera shukriya
Raste naye sathi naye
Aayenge ye dil ne kaha
Male : Aaj milna hai kisi se
Dil mujhe milwayega
Dheere dheere dost banke
Dil jise apnayega
Female : Basti me anjano ki ye
Dil kahi mil jayega
Pagal hai dil dil diwana
Jaane ye kya kar jayega
Male : Aisa agar dil ne kiya
Ye dil tera bada shukriya
Udati hui aayi yaha
Ek ajnabi dil ki sada
Mehka diya ye rasta
Shukriya tera shukriya