Singers : Ahad Khan and Usama Ali
Music by : Raffey Anwar
Lyrics by : Ahad Khan and Usama Ali
Male : Ki jab main had se
Aage badh gaya tha
Aashiqui mein
Male : Yaani zindagi ko le raha
Mazak hi mein
Fir mazak hi mein mil gaya
Sab khak hi mein…
Male : Chhu kar aaya manzilein to
Tanha tha main wapsi mein
Male : Jaise phool tode honge
Tumne jholi bhar ke
Main wo phool jo ke
Reh gaya tha shakh hi mein
Male : Jaise khwab hi main
Khwabgah ankh hi mein
Pal se pal mein kya hua tum
Reh gaye bas yaad hi mein
Male : Ek sawal machalta hai
Mere dil mein kabhi
Tujhe main bhool jaun ya
Tujhe main yaad karun
Male : Tujhi ko soch ke likhta hu
Jo bhi likhta hu
Ab likh raha hu to
Fir kyu na ek sawal karun…
Male : Main is sawal se
Gam ko badal du khushiyon mein
Par in bejaan si khushiyon se
Kya kamal karun
Male : Par ab sawal bhi kamal
Tu sambhal le filhal
Ye sawal bicha jaal kya
Main chaal chalu
Male : Chaal chal tu apni
Main tujhe pehchan luga
Main apni mehfilon mein
Sirf tera hi naam luga
Male : Tujhe pasand hai dheema lehja
Aur bas khamoshiyan
Main tere khatir apni
Khud ki sansein tham luga
Male : Kya tere saare aansu
Mere ho sakte hain
Aisa hai to tere khatir
Hum bhi ro sakte hain
Male : Mere khatir mere rone
Par ab tum bas hans dena
Ek bar tere muskurahat ke peeche
Hum sab kuch kho skate hain
Male : Kya meri mohabbaton ka
Koi hisab nahi hai
Kyu tere aankhon mein mere liye
Koi khwab nahi hai
Male : Tujhe kya hi karun
Ghamzada ab jane de
Ke tere paas mere pyaar ka
Jawab nahi hai
Male : Kitni muddatein hui hai
Tumne khat kyu nahi bheja
Gaa leta hun tere liye
Mausiqi nahi hai pesha
Male : Aane ki khabar hi nahi tere ab
Ab kya mausamon se puchun
Tere aane la andesha
Male : Aankhon mein aansu nahi hai
Kahan hai tu kahan tu nahi hai
Dil ko ye ab jaan na hi nahi
Bas tu chale aao
Male : Tu hai kahan
Khwabon ke is shehar mein
Mera dil tujhe dhundta
Dhundta
Male : Arsa hua tujhko dekha nahi
Tu na jane kahan chup gaya
Chup gaya
Male : Aao fir se hum chale
Tham lo ye hath
Kardo kam ye faasle
Na pata ho manzilon ka
Na ho raste
Male : Tu ho main hu baithe
Dono fir hum taaron ke tale
Male : Na subah ho fir na hi din dhale
Kuch na keh sake kuch na sun sake
Baatein sari woh dil mein hi rahe
Tum ko kya pata hai kya ho tum mere liye
Male : Kehkashan ho tum
Kahaniyon ki pariyon ki tarah ho tum
Mujhme aa sake na koi is tarah ho tum
Ho yaqeen tum mera ya fir gumaan ho tum
Male : Aashiyan ho tum
Main bhatka sa musafir
Aur makaan ho tum
Male : Meri manzilon ka
Ek hi rasta ho tum
Dhundta hai dil tujhe
Bata kahan ho tum hmm
Male : Ho jahan kahin bhi
Aao paas taaki
Aansu mere tham sake
Yaad aa rahe ho tum
Mujhe ab har lamhe
Male : Aisi zindagi ka kya
Jo tum zindagi mein hoke
Meri zindagi na ban sake
Male : Sochta rahu ya bhul jaun ab tumhen
Tum mil hi na sakogi to
Fir kaise chahu ab tumhen…
Male : Tere saare khwab
Pal mein jod denge
Jisme tu hi na basega
Fir wo dil hi tod denge
Male : Chod denge wo shahar
Ke jisme tum na hoge
Toot jayenge makaan
Wo sare hasraton ke
Male : Gujre pal jo sath tere
Wo pal hai bas sukoon ke
Mil lo ab tum is tarah
Ke fir nahi miloge
Male : Tu hi tha sath mein mere
Kaise main jeeyuga akele
Taare gin gin ke ho gayi
Hai subah
Male : Tu hai kahan
Khwabon ke is shehar mein
Mera dil tujhe dhundta
Dhuundta
Male : Arsa hua tujhko dekha nahi
Tu na jane kahan chup gaya
Chup gaya…