Vande Bharatam Song Lyrics in T-Series (2023)

Vande Bharatam Song Lyrics

Singers : Vishal Mishra and Arko

Music by : Arko

Lyrics by : Manoj Muntashir

Male : Vande wo..!!, vande wo..!!
Vande wo..!! vande wo..!!

Male : {Mera chhota bhai
Usse puchhna
Kya mera wada nibhayega
Main sarhadon se bolke aaya tha
Ek beta jayega toh dusra aayega

Male : Bas ek aakhari gujarish
Meri aakhari khwahish
Meri maut ka matam naa karna
Maine khud ye sahadat chahi hai
Main jeeta hoon marne ke liye

Male : Mera naam sipahi hai} (Dialogue)

Male : Tere aasman pe chandrma
Hardum rahein kayam
Jhukne nahin denge kabhi
Maa sheesh tera hum

Male : Tere aasman pe chandrma
Hardum rahein kayam
Jhukne nahin denge kabhi
Maa sheesh tera hum

Male : Kya kar rahe ho tum
Are maa apne medals ki jagah bana raha hoon
Jab sipahi banunga naa

Male : Idhar aa tu doctor banana
Aur jo desh ko bachate hai naa
Usko bachana
Are fancy dress competition nahi maa
Main bada hoke sipahi banunga
Papa ke jaise
Aise goli chalaunga
Aur aise seenein pe goli khaunga (Dialogue)

Male : Vande vande vande bharatam
Vande vande vande bharatam
Oh vande vande vande bharatam
Vande vande vande bharatam

Male : Haan mar mitenge hum agar
Bharat ka ye aadesh hai
Zindagi pyaari hai lekin
Sabse pyara desh hai

Male : Aakhri hichki talak
Yeh pyaar naa ho kam
Jhukne nahin denge kabhi
Maa sheesh tera hum

Male : Vande vande vande bharatam
Vande vande vande bharatam

Male : Parwarish di hai hamein
Ae maa duaon ne teri
Loriyan gaa ke sulaya
Hai hawaon ne teri
Ho koi beta kaise dekhe maa ki aankhein nam
Jhukne nahin denge kabhi
Maa sheesh tera hum

Male : {Vande vande vande bharatam
Vande vande vande bharatam
Oh vande vande vande bharatam
Vande vande vande bharatam} (2)

Male : Aaye sarhad se khabar
Toh jashn karna sathiyon
Aaye sarhad se khabar
Toh jashn karna sathiyon
Veerta ka dharam hai
Maati pe marna sathiyon
Jab ho tirange ka kafan
Toh maut ka kya ghum
Jhukne nahin denge kabhi
Maa sheesh tera hum

Male : {Vande vande vande bharatam
Vande vande vande bharatam
Oh vande vande vande bharatam
Vande vande vande bharatam} (4)

Male : {Maaa
Bina bataye chala gaya maaf kar dena
Par bad khus-naseeb nikala
Janam teri kokh se liya
Aur jaan bharat maa ki god mein gayi

Male : Kaveri se kehna
Wo meri dusari mohobbat thi
Pehla pyaar toh maine desh ki maati se kiya}
Aur samar se poochna
Kya mera wadhaa nibayaga
Main saha dhosth ko bhol kiya he
Ek beta jaayega phir doosra aayega (Dialogue)

Scroll to Top