Singer : Lata Mangeshkar
Music by : Madan Mohan
Lyrics by : Raja Mehandi Ali Khan
Female : Woh dekho jala ghar kisi ka
Woh dekho jala ghar kisi ka
Yeh toote hain kiske sitaare
Woh kismat hansi aur aise hansi
Ke rone lage gham ke maare..
Female : Woh dekho jala ghar kisi ka
Yeh toote hain kiske sitaare
Woh kismat hansi aur aise hansi
Ke rone lage gham ke maare..
Woh dekho jala ghar kisi ka
Female : Gaya jaise jhonka hawa ka
Hamaari kushi ka zamana..
Diye hamko kismat ne aansu
Jab aaya hamein muskurana
Bina hamsafar hai sooni dagar
Kidhar jaayein hum be-sahaare
Woh dekho jala ghar kisi ka
Female : Hain raahein kathin door manzil
Yeh chhaya hai kaisa andhera..
Ke ab chaand sooraj bhi milkar
Nahin kar sakenge savera
Ghata chhaayegi bahaar aayegi
Na aayenge woh din hamaare
Woh dekho jala ghar kisi ka
Female : Idhar ro rahi hain yeh aankhein
Udhar aasmaan ro raha hai..
Mujhe kar ke barbaad zaalim
Pashemaan ab ho raha hai
Ye barkha kabhi to ruk jaayegi
Rukenge na aansoo hamaare
Female : Woh dekho jala ghar kisi ka
Yeh toote hain kiske sitaare
Woh kismat hansi aur aise hansi
Ke rone lage gham ke maare
Woh dekho jala ghar kisi ka