Singers : Arijit Singh and Shreya Ghoshal
Music by : Anu Malik
Male : In kaali sadiyon ke sar se
Jab raat ka aanchal dhalkega
Jab dukh ke baadal pighlengen
Jab sukh ka saagar chalkega..
Jab ambar jhoom ke naachega
Jab dharti naghme gaayegi
Male : Wo subah humi sey aayegi
Wo subah humi sey aayegi..
Wo subah humi sey aayegi
Wo subah humi sey aayegi..
Female : Jis subah ki khaatir yug-yug se ham sab mar-mar kar jeete hain
Jis subah ki amrit ki dhun me ham jahar ke pyaale peete hai
Inn bhooki pyaasi roohon pe ek din to karam farmaayegi
Female : Wo subah humi sey aayegi
Wo subah humi sey aayegi..
Both : Maana ke abhi tere mere armaanon ki keemat kuch bhi nahin…
Ooohhooooo…
Mitti ka bhi hai kuch mol magar
Insaano ki keemat kuch bhi nahin..
Oooo…
Insaanon ki izzat jab jhoote
Sikko me na toli jaayegi…
Both : Wo subah humi sey aayegi
Wo subah humi sey aayegi..
Wo subah humi sey aayegi
Wo subah humi sey aayegi..
Wo subah humi sey aayegi
Wo subah humi sey aayegi..