Ye Ajal Zindagi Song Lyrics in Elaan -1947 Film (1947)

Ye Ajal Zindagi Song Lyrics

Ye Ajal Zindagi Song Lyrics is a track from Elaan Hindi Film – 1947, Starring Surendra Munawwar, Sultana, Himalayawala and Zebunissa. This song was sung by Amirbai Karnataki. Music was composed by Naushad Ali and lyrics work penned by Zia Sarhadi.

Singer : Amirbai Karnataki

Music Director : Naushad Ali

Lyricist : Zia Sarhadi

Female : Ye ajal hai zindagi
Gham ka zamana tal gaya
Ab kya girengi bijliya
Jab aashiya hi jal gaya

Female : Aao sabe gham aaye ja
Sare jahan par chhaye ja
Ab tuhi tu rah jayegi
Ab kal na hargiz aayegi
Wo dil jo dushman tha tera
Wo zindagi ka din mera
Wo din hamesha ke liye
Ha din wahi din dhal gaya
Gham ka zamana tal gaya

Female : Is umar ka awaal fanah
Is umar ka aakhir fanah
Ek jhuth ka darbar hai
Watil fanah jahil fanah
Ye zindagi kuch bhi nahi
Ye zindagi kuch bhi nahi
Natak ka jhootha khel hai
Jab tak chala so chal gaya
Gham ka zamana tal gaya

Female : Aayi azal hai zindagi
Gham ka zamana tal gaya
Ab kya girengi bijliya
Jab aashiya hi jal gaya…

Scroll to Top