Singer : Mohit Chauhan
Music by : Clinton Cerejo
Lyrics by : Pushaan Mukherjee
Male : Ek baar ki baat thi
Ek dum fizool ki
Parinda ik suljha tha
Patang se uljha tha
Ulta wo pulta wo
Mohabbat se phisla woh
Gir kar sambhal kar wo
Khoya khoya sa hans kar wo
Male : Akhiyon ki masti me
Jo dastan ye jhalakti hai
Dikhti hai chhupti hai
Haule se bulati hai
Chorus : {Kahani atrangi si
Paheli anokhi si
Thodi adhoori si
Zaroori bewakoofi si} (2)
Male : Baith kar wo sochta hai
Parinda tha jo hamara
Dagmaga chuka tha
Phir irada hichkichaya
Sawalon se door jawabon se door
Us ehsaas ke pass
Jo khud me-khud me bhar-poor
Male : Lagti bas khud ki
Par hai wo ab sabki
Ik rangon ki toli
Aabaad aur azaad aisi kamal ki
Yeh sapnon ki jholi
Chorus : Kahani atrangi si
Paheli anokhi si
Thodi adhoori si
Zaroori bewakoofi si
Chorus : Kahani
Male : Atrangi si
Chorus : Paheli
Male : Anokhi si
Chorus : Thodi
Male : Adhoori si
Chorus : Zaroori
Male : Bewakoofi si
Male : Phir maqsad bhi muskuraya
Aur uska waqt bhi palat aaya
Ik phasne phasane ka
Fasana ab gudgudaya
Soch se uchhla wo
Atrangi parinda wo
Koshish ko poori karna tha
Us falak ko jhatakna tha
Male : Tasveerein ummeedon ki
Soyi huyi un khwaabon ki
Jhank kar nazar aayein jo
Lagatar wo pukar kar mil jayein
Chorus : {Kahani atrangi si
Paheli anokhi si
Thodi adhoori si
Zaroori bewakoofi si} (2)
Male : Overlapping
Chorus : {Kahani atrangi si
Paheli anokhi si
Thodi adhoori si
Zaroori bewakoofi si} (4)